pal-bhar na bijliyon ke muqabil Thahar sake
itna bhi kam-sawad mera aashiyan kahan
Haneef akhgar
kafir sahi hazar magar is ko kya kahen
hum par wo mehrban hai musalman ki tarah
Haneef akhgar
KHalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe
dil samundar mein bhi diwar uThana chahe
Haneef akhgar
kisi ke jaur-e-musalsal ka faiz hai 'aKHgar'
wagarna dard hamare suKHan mein kitna tha
Haneef akhgar
koi saghar pe saghar pi raha hai koi tishna hai
murattab is tarah aain-e-mai-KHana nahin hota
Haneef akhgar
kushta-e-zabt-e-fughan naghma-e-be-saz-o-sada
uf wo aansu jo lahu ban ke Tapakta hoga
Haneef akhgar
log milne ko chale aate hain diwane se
shahr ka ek talluq to hai virane se
Haneef akhgar
nigahen pherne wale ye nazren uTh hi jati hain
kabhi beganagi wajh-e-shanasai bhi hoti hai
Haneef akhgar
yaad-e-farogh-e-dast-e-hinai na puchhiye
har zaKHm-e-dil ko rashk-e-namak-dan bana diya
Haneef akhgar

