aasan nahin marhala-e-tark-e-wafa bhi
muddat hui hum is ko bhulane mein lage hain
Hafeez Banarasi
chale chaliye ki chalna hi dalil-e-kaamrani hai
jo thak kar baiTh jate hain wo manzil pa nahin sakte
Hafeez Banarasi
dushmanon ki jafa ka KHauf nahin
doston ki wafa se Darte hain
I do nor fear injury from my enemies
what frightens me is my friend's fidelities
Hafeez Banarasi
ek sita ki rifaqat hai to sab kuchh pas hai
zindagi kahte hain jis ko ram ka ban-bas hai
Hafeez Banarasi
gumshudgi hi asl mein yaro rah-numai karti hai
rah dikhane wale pahle barson rah bhaTakte hain
Hafeez Banarasi
har haqiqat hai ek husn 'hafiz'
aur har husn ek haqiqat hai
Hafeez Banarasi
hisar-e-zat ke diwar-o-dar mein qaid rahe
tamam umr hum apne hi ghar mein qaid rahe
Hafeez Banarasi
ek husn-e-tasawwur hai jo zist ka sathi hai
wo koi bhi manzil ho hum log nahin tanha
Hafeez Banarasi
ishq mein marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye
choT lagti hai kahin dard kahin hota hai
Hafeez Banarasi