ab shikwa-e-sang-o-KHisht kaisa
jab teri gali mein aa gaya hun
Gopal Mittal
farq ye hai nutq ke sanche mein Dhal sakta nahin
warna jo aansu hai durr-e-shah-war-e-naghma hai
Gopal Mittal
fitrat mein aadmi ki hai mubham sa ek KHauf
us KHauf ka kisi ne KHuda nam rakh diya
Gopal Mittal
KHuda gawah ki donon hain dushman-e-parwaz
gham-e-qafas ho ki rahat ho aashiyane ki
Gopal Mittal
kya kijiye kashish hai kuchh aisi gunah mein
main warna yun fareb mein aata bahaar ke
Gopal Mittal
mera saqi hai baDa dariya-dil
phir bhi pyasa hun ki sahra hun main
Gopal Mittal
mujhe zindagi ki dua dene wale
hansi aa rahi hai teri sadgi pa
Gopal Mittal
phir ek shola-e-pur-pech-o-tab bhaDkega
ki chand tinkon ko tartib de raha hun main
Gopal Mittal
tark-e-talluqat KHud apna qusur tha
ab kya gila ki un ko hamari KHabar nahin
Gopal Mittal