adam se hasti mein jab hum aae na koi hamdard sath lae
jo apne the wo hue parae ab aasra hai to bekasi ka
George Puech Shor
dete na dil jo tum ko to kyun banti jaan par
kuchh aap ki KHata na thi apna qusur tha
George Puech Shor
dil mein apne aarzu sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
do jahan ki justuju sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
George Puech Shor
dur hum se hain wo to kya Dar hai
pas hai apne aarsi dil ki
George Puech Shor
guzishta sal jo dekha wo ab ki sal nahin
zamana ek sa bas har baras nahin chalta
George Puech Shor
hai talash-e-do-jahan lekin KHabar apni kise
jite-ji tak justuju sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
George Puech Shor
hawa ke ghoDe pe rahta hai wo sawar mudam
kisi ka us ke barabar faras nahin chalta
George Puech Shor
ek KHayal-o-KHwab hai a 'shor' ye bazm-e-jahan
yar aur jam-o-subu sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
George Puech Shor
ek nazar ne kiya hai kaam tamam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
George Puech Shor