اردو हिंदी
Faheem Shanas Kazmi Shayari | Shaahi Shayari

Faheem Shanas Kazmi Shers

18 Shers

adalte waqt ne badle mizaj bhi kaise
teri ada bhi gai mera bankpan bhi gaya

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


as ek bar wo aaya tha sair karne ko
phir us ke sath hi KHushbu gai chaman bhi gaya

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


ichhaD ke tujh se teri yaad bhi nahin aai
makan ki samt palaT kar makin nahin aaya

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


guzra mere qarib se wo is ada ke sath
raste ko chhu ke jis tarah rasta guzar gaya

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


KHud apne hone ka har ek nishan miTa Dala
'shanas' phir kahin mauzu-e-guftugu hue hum

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


kin darichon ke charaghon se hamein nisbat thi
ki abhi jal nahin pae ki bujhae gae hum

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


kisi ke dil mein utarna hai kar-e-la-hasil
ki sari dhup to hai aaftab se baha

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


koi bhi rasta kisi samt ko nahin jata
koi safar meri takmil karne wala nahin

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |


phir wahi sham wahi dard wahi apna junun
jaane kya yaad thi wo jis ko bhulae gae hum

Faheem Shanas Kazmi


Tags: | 2 Lines Shayari |