farishta hai to taqaddus tujhe mubarak ho
hum aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain
Dil Ayubi
is shahr mein to kuchh nahin ruswai ke siwa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gaya tujhe
Dil Ayubi
kahan main abhi tak nazar aa saka hun
KHuda jaane kitni tahon mein chhupa hun
Dil Ayubi
lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka
Dil Ayubi
na gird-o-pesh se is darja be-niyaz guzar
jo be-KHabar se hain sab ki KHabar bhi rakhte hain
Dil Ayubi
phir marhala-e-KHwab-e-bahaaran se guzar ja
mausam hai suhana to gareban se guzar ja
Dil Ayubi
ye dilchasp wade ye rangin dilase
ajab sazishen hain kahan aa gaya hun
Dil Ayubi
ye rah-e-ishq hai aaKHir koi mazaq nahin
saubaton se jo ghabra gae hon ghar jaen
Dil Ayubi