aansu meri aankhon mein hain nale mere lab par
sauda mere sar mein hai tamanna mere dil mein
Bekhud Badayuni
aiThta hai hamesha rindon mein
kahin zahid wali na ho jae
Bekhud Badayuni
dair-o-haram ko dekh liya KHak bhi nahin
bas ai talash-e-yar na dar-dar phira mujhe
Bekhud Badayuni
gardish-e-baKHt se baDhti hi chali jati hain
meri dil-bastagiyan zulf-e-girah-gir ke sath
Bekhud Badayuni
hasil us mah-laqa ki did nahin
id hai aur hum ko id nahin
Bekhud Badayuni
kabhi haya unhen aai kabhi ghurur aaya
hamare kaam mein sau sau tarah futur aaya
Bekhud Badayuni
KHun ho jaen KHak mein mil jaen
hazrat-e-dil se kuchh baid nahin
Bekhud Badayuni
na mudaraat hamari na adu se nafrat
na wafa hi tumhein aai na jafa hi aai
Bekhud Badayuni
shifa kya ho nahin sakti hamein lekin nahin hoti
dawa kya kar nahin sakte hain hum lekin nahin karte
Bekhud Badayuni