mere andar se yun phenki kisi ne raushni mujh par
ki pal bhar mein meri sari haqiqat khul gai mujh pa
Aziz Bano Darab Wafa
mere haalat ne yun kar diya patthar mujh ko
dekhne walon ne dekha bhi na chhu kar mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
meri KHalwat mein jahan gard jami pai gai
ungliyon se teri taswir bani pai gai
Aziz Bano Darab Wafa
meri taswir banane ko jo hath uThta hai
ek shikan aur mere mathe pe bana deta hai
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar DhanDora piTta hai koi rah rah ke
jo apni KHairiyat chahe wo basti se nikal jae
Aziz Bano Darab Wafa
mujhe kahan mere andar se wo nikalega
parai aag mein koi na hath Dalega
Aziz Bano Darab Wafa
pakaDne wale hain sab KHeme aag aur behosh
paDe hain qafila-salar mishalon ke qari
Aziz Bano Darab Wafa
nikal paDe na kahin apni aaD se koi
tamam umr ka parda na toD de koi
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar koi takta raha rasta us ka
main hamesha ke liye rah gai chilman ban ke
Aziz Bano Darab Wafa

