ashk palkon pe bichhaD kar apni qimat kho gaya 
ye sitara qimti tha jab talak TuTa na tha
Ateeq Anzar
ichhaDte waqt ana darmiyan thi warna 
manana donon ne ek dusre ko chaha tha
Ateeq Anzar
dur mujh se rahte hain sare gham zamane ke 
teri yaad ki KHushbu dil mein jab Thaharti hai
Ateeq Anzar
ganw ke parinde tum ko kya pata bideson mein 
raat hum akelon ki kis tarah guzarti hai
Ateeq Anzar
gham ki band muTThi mein ret sa mera jiwan 
jab zara kasi muTThi zindagi bikharti hai
Ateeq Anzar
ek us ki zat se jab mera e'tibar uTha 
to phir kisi pe bhi aaya na e'tibar mujhe
Ateeq Anzar
kahin bujhti hai dil ki pyas ek do ghunT se 'anzar' 
main suraj hun mere hisse mein dariya likh diya jae
Ateeq Anzar
kisi ne bheja hai KHat pyar aur wafa likh kar 
qalam se kaam diya hai mujhe KHuda likh ka
Ateeq Anzar
main tum se tark-e-ta'alluq ki baat kyun sochun 
juda na jismon se 'anzar' kabhi bhi sae hue
Ateeq Anzar

