sham ke dhundlakon mein Dubta hai yun suraj
jaise aarzu koi mere dil mein marti hai
Ateeq Anzar
teri shoKH aankhon mein barha kai KHwab dekhe hain pyar ke
tera pyar mera nasib hai kisi aur ko ye wafa na de
Ateeq Anzar
teri zulfon ke sae mein agar ji lun main pal-do-pal
na ho phir gham jo mere nam sahra likh diya jae
Ateeq Anzar
tujh se mil kar bhi udasi nahin jati dil ki
tu nahin aur koi meri kami ho jaise
Ateeq Anzar
use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naz pe meri har nigah phisal gai
Ateeq Anzar
wo ghazal ki kitab hai pyare
us ko paDhna sawab hai pyare
Ateeq Anzar