aansu tumhaari aankh mein aae to uTh gae
hum jab karam ki tab na lae to uTh gae
Ataur Rahman Jameel
aane wali aa nahin chukti jaane wali ja bhi chuki
waise to har jaane wali raat thi aane wali raat
Ataur Rahman Jameel
dil par barf ki sil rakh dena nagan ban kar Das lena
apne liye donon hi barabar kali ho ki ujali raat
Ataur Rahman Jameel
kuchh KHwab kuchh KHayal mein mastur ho gae
tum kya qarib nikle ki sab dur ho gae
Ataur Rahman Jameel
tumhaari bazm se jab bhi uThe to haal-zada
kabhi jawab ke mare kabhi sawal-zada
Ataur Rahman Jameel
un ko bhi 'jamil' apne muqaddar se gila hai
wo log jo sunte the ki chaalak bahut hain
Ataur Rahman Jameel
ye duniya hai yahan har aabgina TuT jata hai
kahin chhupte phiro aaKHir zamana DhunDh hi lega
Ataur Rahman Jameel