اردو हिंदी
Aaj bhi jis ki KHushbu se hai matwali matwali raat | Shaahi Shayari
aaj bhi jis ki KHushbu se hai matwali matwali raat

Ghazal

Aaj bhi jis ki KHushbu se hai matwali matwali raat

Ataur Rahman Jameel

;

aaj bhi jis ki KHushbu se hai matwali matwali raat
wo tere jalte pahlu mein thi jaan nikalne wali raat

subh se tanha tanha phirna phir aaegi sawali raat
aur tere pas dhara hi kya hai ai meri KHali KHali raat

dil par barf ki sil rakh dena nagan ban kar Das lena
apne liye donon hi barabar kali ho ki ujali raat

pile patte sukhi shaKHon par bhi to akasr chamka chand
mujh se milne kabhi na aai teri naz ki pali raat

dekh liye aankhon ne meri taza shabnam basi phul
garche subh ko meri KHatir tum ne mujh se chhupa li raat

tum is ko sona kahte ho tum kya hum bhi kahte hain
apni thaki palkon par hum ne lamha bhar jo sambhaali raat

aane wali aa nahin chukti jaane wali ja bhi chuki
waise to har jaane wali raat thi aane wali raat