faeda kya hai nasihat se phire ho naseh
hum samajhne ke nahin lakh tu samjhae hamein
Asif-ud-Daula
hum ishq ke bande hain mazhab se nahin waqif
gar kaba hua to kya but-KHana hua to kya
Asif-ud-Daula
is ada se mujhe salam kiya
ek hi aan mein ghulam kiya
Asif-ud-Daula
jis ghaDi tere aastan se gae
hum ne jaana ki do jahan se gae
Asif-ud-Daula
kahta hai bahut kuchh wo mujhe chupke hi chupke
zahir mein ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
Asif-ud-Daula
milte hi nazar dil ko milaya nahin jata
aaghaz ko anjam banaya nahin jata
Asif-ud-Daula
phaba hai ruKH pe tere KHush-numa sanam lekin
hamesha gul pe ye shabnam rahe rahe na rahe
Asif-ud-Daula
tere kuche mein naqsh-e-pa ki tarah
aise baiThe ki phir na wan se gae
Asif-ud-Daula
ye na aane ke bahane hain sabhi warna miyan
itna to ghar se mere kuchh nahin ghar dur tera
Asif-ud-Daula