abhi raat kuchh hai baqi na uTha naqab saqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jae
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
Anwar Mirzapuri
ai kash hamari qismat mein aisi bhi koi sham aa jae
ek chand falak par nikla ho ek chand sar-e-baam aa jae
Anwar Mirzapuri
akela pa ke mujh ko yaad un ki aa to jati hai
magar phir lauT kar jati nahin main kaise so jaun
Anwar Mirzapuri
main KHush hun agar gulshan ke liye kuchh mera lahu kaam aa jae
lekin mujh ko Dar hai is ka gulchin pe na ilzam aa jae
Anwar Mirzapuri
main nazar se pi raha hun ye saman badal na jae
na jhukao tum nigahen kahin raat Dhal na jae
i am feasting from thine eyes, pray let this aspect be
lower not your eyes my love, or else this night may flee
Anwar Mirzapuri
mere ashk bhi hain is mein ye sharab ubal na jae
mera jam chhune wale tera hath jal na jae
my tears too this does contain,this wine may start to boil
be careful for my goblet burns with rare intensity
Anwar Mirzapuri
mujhe phunkne se pahle mera dil nikal lena
ye kisi ki hai amanat mere sath jal na jae
please remove my heart before i am consigned to flames
As it belongs to someone else it should not burn with me
Anwar Mirzapuri