ai aasman harf ko phir eatibar de
warna haqiqaton ko kahani likhenge log
Anjum Barabankvi
ghair to aansu pochhenge
dhoka denge apne log
Anjum Barabankvi
ghar-bar chhoD kar wo faqiron se ja mile
chahat ne baadshahon ko mahkum kar diya
Anjum Barabankvi
jis baat ka matlab KHushbu hai har ganw ke kachche raste par
us baat ka matlab badlega jab pakki saDak aa jaegi
Anjum Barabankvi
jo doston ki mohabbat se ji nahin bharta
to aastin mein do-chaar sanp pal ke rakh
Anjum Barabankvi
jo sare din ki thakan oDh kar main sota hun
to sari raat mera ghar safar mein rahta hai
Anjum Barabankvi
kitab-e-ishq ke jo mo'atabar risale hain
unhin mein husn ke kuchh mustanad hawale hain
Anjum Barabankvi
main aise dar ka gada hun jahan pe moti kya
hazar bar mujhe sang aab-dar mile
Anjum Barabankvi
main ne suraj ki tarah KHud ko banaya jis din
dekhne aaenge ye maghrib-o-mashriq mujh ko
Anjum Barabankvi