mashhur bhi hain badnam bhi hain KHushiyon ke nae paigham bhi hain
kuchh gham ke baDe inam bhi hain paDhiye to kahani kaam ki hai
Anjum Barabankvi
mearaj-e-aqidat hai ki tawiz ki surat
bazu pe koi KHak-e-watan bandhe hue hai
Anjum Barabankvi
mujhe sone ki qimat mat batao
main miTTi hun meri azmat bahut hai
Anjum Barabankvi
shohrat ki raushni ho ki nafrat ki tirgi
kya kya use diya hai KHuda ne pata karo
Anjum Barabankvi
tujhe to kitni bahaaren salam bhejengi
abhi ye phul sa chehra zara sambhaal ke rakh
Anjum Barabankvi
ye baadshah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikalta hai
Anjum Barabankvi
zara mahfuz raston se guzarna
tumhaari shahr mein shohrat bahut hai
Anjum Barabankvi