aao KHush ho ke piyo kuchh na kaho waiz ko
mai-kade mein wo tamashai hai kuchh aur nahin
Anjum Azmi
ab na wo josh-e-wafa hai na wo andaz-e-talab
ab bhi lekin tere kuche se guzar hota hai
Anjum Azmi
iTha ke samne tum ko bahaar mein pi hai
tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li
Anjum Azmi
dil na kaba hai ne kalisa hai
tera ghar hai harim-e-mariyam hai
Anjum Azmi
ghalat hai jazba-e-dil par nahin koi ilzam
KHushi mili na hamein jab to gham ki KHu kar li
Anjum Azmi
ilaj us ka guzar jaana hai jaan se
guzar jaane ka jaan se Dar rahega
Anjum Azmi
KHak ne kitne bad-atwar kiye hain paida
ye na hote to usi KHak se kya kya hota
Anjum Azmi
KHali bhi to kar KHana-e-dil duniya se
is ghar mein meri jaan KHuda aaega
Anjum Azmi
koi to KHair ka pahlu bhi nikle
akela kis tarah ye shar rahega
Anjum Azmi