اردو हिंदी
Ek sauda hai lazzat-e-gham hai | Shaahi Shayari
ek sauda hai lazzat-e-gham hai

Ghazal

Ek sauda hai lazzat-e-gham hai

Anjum Azmi

;

ek sauda hai lazzat-e-gham hai
aaj phir meri aankh pur-nam hai

dil ko bahla rahe hain muddat se
zindagi kya azab se kam hai

zarra zarra udas hai us ka
mere ghar ka ajib aalam hai

mehr-o-mah par kamand paDti hai
soch mein koi ibn-e-adam hai

tujh se parda nahin mere gham ka
tu meri zindagi ka mahram hai

ye jo ek eatibar hai tum par
kis qadar paedar-o-muhkam hai

kal to duniya badal hi jaegi
aaj un ka ye jaur-e-paiham hai

dil na kaba hai ne kalisa hai
tera ghar hai harim-e-mariyam hai