aadhe peD pe sabz parinde aadha peD aasebi hai
kaise khule ye ram-kahani kaun sa hissa mera hai
Ali Akbar Natiq
aasman ke rauzanon se lauT aata tha kabhi
wo kabutar ek haweli ke chhajon mein kho gaya
Ali Akbar Natiq
astiyon wale to KHud oDh ke patte, soe
dil-e-awara tujhe raat sambhaala kis ne
Ali Akbar Natiq
charagh banTne walon pa hairaten na karo
ye aaftab hain, shab ki dua mein shad rahen
Ali Akbar Natiq
dhup phaili to kaha diwar ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musafir, mere sae ke habi
Ali Akbar Natiq
faKHtaen bolti hain bajron ke des mein
tu bhi sun le aasman ye git mere nam ka
Ali Akbar Natiq
ghubar-e-shahr mein use na DhunD jo KHizan ki shab
hawa ki rah se mila, hawa ki rah par gaya
Ali Akbar Natiq
hijab aa gaya tha mujh ko dil ke iztirab par
yahi sabab hai tere dar pe lauT kar na aa saka
Ali Akbar Natiq
itna aasan nahin pani se shabihen dhona
KHud bhi roega musawwir ye qayamat kar ke
Ali Akbar Natiq