kisi ka saya rah gaya gali ke ain moD par
usi habib sae se bani hamari dastan
Ali Akbar Natiq
koi na rasta nap saka hai, ret pe chalne walon ka
agle qadam par miT jaega pahla naqsh hamara bhi
Ali Akbar Natiq
muKHtasar baat thi, phaili kyun saba ki manind
dard-mandon ka fasana tha, uchhaala kis ne
Ali Akbar Natiq
sard raaton ki hawa mein uDte patton ke masil
kaun tere shab-nawardon ko sambhaale shahr mein
Ali Akbar Natiq
wo shaKHs amar hai, jo piwega do chandon ke nur
us ki aankhen sada gulabi jo dekhe ek lal
Ali Akbar Natiq
zard phulon mein basa KHwab mein rahne wala
dhund mein uljha raha nind mein chalne wala
Ali Akbar Natiq