ab dard bhi ek had se guzarne nahin pata
ab hijr mein wo pahli si wahshat nahin hoti
Akram Mahmud
ab dil bhi dukhao to aziyyat nahin hoti
hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti
Akram Mahmud
ajab taqaza hai mujh se juda na hone ka
ki jaise kaun-o-makan mere iKHtiyar mein hai
Akram Mahmud
as itna yaad hai ek bhul si hui thi kahin
ab is se baDh ke dukhon ka hisab kya rakhna
Akram Mahmud
chaDhe hue hain jo dariya utar bhi jaenge
mere baghair tere din guzar bhi jaenge
Akram Mahmud
dekh ye dil jo kabhi had se guzar jata tha
dekh dariya mein koi shor na tughyani hai
Akram Mahmud
dil KHush jo nahin rahta to is ka bhi sabab hai
maujud koi wajh-e-masarrat nahin hoti
Akram Mahmud
do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah len
is umr mein ab hum se baghawat nahin hoti
Akram Mahmud
gum to hona tha ba-har-haal kisi manzar mein
dil hua KHwab mein gum aankh hui aab mein gum
Akram Mahmud