ajib uljhan mein tu ne Dala mujhe bhi ai gardish-e-zamana
sukun milta nahin qafas mein na ras aata hai aashiyana
Akhtar Muslimi
ashk wo hai jo rahe aankh mein gauhar ban kar
aur TuTe to bikhar jae naginon ki tarah
Akhtar Muslimi
dehat ke basne wale to iKHlas ke paikar hote hain
ai kash nai tahzib ki rau shahron se na aati ganw mein
Akhtar Muslimi
di us ne mujh ko jurm-e-mohabbat ki wo saza
kuchh be-qusur log saza mangne lage
Akhtar Muslimi
ek hi anjam hai ai dost husn o ishq ka
shama bhi bujhti hai parwanon ke jal jaane ke baad
Akhtar Muslimi
fareb-KHurda hai itna ki mere dil ko abhi
tum aa chuke ho magar intizar baqi hai
Akhtar Muslimi
han ye bhi tariqa achchha hai tum KHwab mein milte ho mujh se
aate bhi nahin gham-KHane tak wada bhi wafa ho jata hai
Akhtar Muslimi
har shaKH-e-chaman hai afsurda har phul ka chehra pazhmurda
aaghaz hi jab aisa hai to phir anjam-e-bahaaran kya hoga
Akhtar Muslimi
insaf ke parde mein ye kya zulm hai yaro
dete ho saza aur KHata aur hi kuchh hai
Akhtar Muslimi