ab tujhe mera nam yaad nahin
jab ki tera pata raha hun main
Akbar Masoom
aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho
yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra pani ho
Akbar Masoom
hai musibat mein giraftar musibat meri
jo bhi mushkil hai wo mere liye aasani hai
Akbar Masoom
jis ke baghair ji nahin sakte the ja chuka
par dil se dard aankh se aansu kahan gaya
Akbar Masoom
main kisi aur hi aalam ka makin hun pyare
mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsan mera
Akbar Masoom
ah jaegi ye sari kahani yahin dhari
ek roz jab main apne fasane mein jaunga
Akbar Masoom
tere ghurur ki ismat-dari pe nadim hun
tere lahu se bhi daman hai daghdar mera
Akbar Masoom
ujala hai jo ye kaun-o-makan mein
hamari KHak se laya gaya hai
Akbar Masoom
wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain
main us ki dhup se saya badal ke aaya hun
Akbar Masoom