aah ab KHuddari-e-akbar kahan
ho gai wo bhi ghulam-e-arzu
Akbar Haidri
ai ajal kuchh zindagi ka haq bhi hai
zindagi teri amanat hi sahi
Akbar Haidri
azm-e-husn-o-ishq mein 'akbar' ki afsurda-dili
dad ke laeq nahin be-dad ke qabil nahin
Akbar Haidri
didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi
muskuraata hun magar dil dard se labrez hai
Akbar Haidri
har nafas minnat-kash-e-alam hai
zindagi shayad isi ka nam hai
Akbar Haidri
husn ki tafsir bhi kuchh kijiye
ishq be-shak ek KHayal-e-KHam hai
Akbar Haidri
ishq ki sada-dili hai har taraf chhai hui
bargah-e-husn mein har aarzu nau-KHez hai
Akbar Haidri
jabr sahta hun magar kab tak sahun insan hun
sabr karta hun magar dil sabr ke qabil nahin
Akbar Haidri
sabr karti hi rahi be-chaargi
zulm hota hi raha mazlum pa
Akbar Haidri