aarzu thi khinchte hum bhi koi aks-e-hayat
kya karen ab ke lahu aankhon se Tapka hi nahin
Ajmal Ajmali
'ajmal' na aap sa bhi koi saKHt-jaan mila
dekhen hain hum ne yun to sitam-ashna bahut
Ajmal Ajmali
hazar manzil-e-gham se guzar chuke lekin
abhi junun-e-mohabbat ki ibtida bhi nahin
Ajmal Ajmali
jab bhi milta hun wahi chehra liye
bad-dua deta hai aaina mujhe
Ajmal Ajmali
kitni tawil kyun na ho baatil ki zindagi
har raat ka hai subh muqaddar na bhulna
Ajmal Ajmali
man ne likha hai KHat mein jahan jao KHush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna
Ajmal Ajmali
tar-e-nazar bhi gham ki tamazat se KHushk hai
wo pyas hai mile to samundar sameT lun
Ajmal Ajmali