aise sulag uTha teri yaadon se dil mera
jaise dhadhak uThen kahin jangal chinar ke
Ajay Sahaab
chaara-gar sab ke pas jata tha
sirf bimar tak nahin pahuncha
Ajay Sahaab
ek muddat se dhadhakta raha mera ye zehn
tab kahin ja ke farozan hue lafzon ke charagh
Ajay Sahaab
fan jo mear tak nahin pahuncha
apne shahkar tak nahin pahuncha
Ajay Sahaab
hadse jaan to lete hain magar sach ye hai
hadse hi hamein jina bhi sikha dete hain
Ajay Sahaab
har aadmi ke qad se us ki qaba baDi hai
suraj pahan ke nikle dhundle charagh yaro
Ajay Sahaab
har KHuda jannaton mein hai mahdud
koi sansar tak nahin pahuncha
Ajay Sahaab
ek band ho gaya hai to kholenge bab aur
ubhrenge apni raat se sau aaftab au
Ajay Sahaab
jab bhi milte hain to jine ki dua dete hain
jaane kis baat ki wo hum ko saza dete hain
Ajay Sahaab