kash lauTen mere papa bhi khilaune le kar
kash phir se mere hathon mein KHazana aae
Ajay Sahaab
kis ne becha nahin suKHan apna
kaun bazar tak nahin pahuncha
Ajay Sahaab
peD ko apna hi saya nahin milta logo
fasl apni kabhi pate nahin bone wale
Ajay Sahaab
shayad zaban pe qarz tha hum ne chuka diya
KHamosh ho gae hain tujhe hum pukar ke
Ajay Sahaab
wo ret par ek nishan jaisa tha mom ke ek makan jaisa
baDa sambhal kar chhua tha main ne pa ek pal mein bikhar gaya wo
Ajay Sahaab
yun abas kisi ko sada na do dil-e-zar ko ye bata bhi do
kabhi ab na aaenge lauT kar wo jo ek bar chale gae
Ajay Sahaab