ek dhundla sa tasawwur hai ki dil bhi tha yahan
ab to sine mein faqat ek Tis si pata hun main
Agha Hashr Kashmiri
go haram ke raste se wo pahunch gae KHuda tak
teri rahguzar se jate to kuchh aur baat hoti
Agha Hashr Kashmiri
go hawa-e-gulsitan ne mere dil ki laj rakh li
wo naqab KHud uThate to kuchh aur baat hoti
Agha Hashr Kashmiri
goya tumhaari yaad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhaara tabib se
Agha Hashr Kashmiri
hashr mein insaf hoga bas yahi sunte raho
kuchh yahan hota raha hai kuchh wahan ho jaega
Agha Hashr Kashmiri
nikhat-e-saghar-e-gul ban ke uDa jata hun
liye jata hai kahan baada-e-sar-josh mujhe
Agha Hashr Kashmiri
sab kuchh KHuda se mang liya tujh ko mang kar
uThte nahin hain hath mere is dua ke baad
Agha Hashr Kashmiri
yaad mein teri jahan ko bhulta jata hun main
bhulne wale kabhi tujh ko bhi yaad aata hun main
Agha Hashr Kashmiri
ye khule khule se gesu inhen lakh tu sanware
mere hath se sanwarte to kuchh aur baat hoti
Agha Hashr Kashmiri