اردو हिंदी
Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se | Shaahi Shayari
tum aur fareb khao bayan-e-raqib se

Ghazal

Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se

Agha Hashr Kashmiri

;

tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasib se

goya tumhaari yaad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhaara tabib se

barbaad dil ka aaKHiri sarmaya thi umid
wo bhi to tum ne chhin liya mujh gharib se

dhundla chali nigah dam-e-wapsin hai ab
aa pas aa ke dekh lun tujh ko qarib se