ang aa jata tha un ki did se ruKH par mere
dekh kar ab wo bhi mujh ko surKH-ru hone lage
Aazim Kohli
main ji bhar ke roya to aaram aaya
mera gham hi aaKHir mere kaam aaya
Aazim Kohli
mere har zaKHm par ek dastan thi us ke zulmon ki
mere KHun-bar dil par us ke hathon ka nishan bhi tha
Aazim Kohli
mohabbat karne wale dard mein tanha nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apna dil dukhaoge
Aazim Kohli
mujhe ayyariyan sab aa gai hain
main ab tere nagar ka ho gaya hun
Aazim Kohli
nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain
apni duniya mein to bas diwaren hi zanjiren hain
Aazim Kohli
wo jate jate mujhe apne gham bhi saunp gaya
ajib Dhang nikala hai gham-gusari ka
Aazim Kohli
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunana chahiye
Aazim Kohli
ye kya hua ki ab tujhi se bad-guman main ho gaya
main sochta tha zindagi tu mujh ko ras aa gai
Aazim Kohli

