ye KHwab sare
abhi jo aankhon mein so rahe hain
ye jag uTThe to kya karoge
to kya karoge jo KHwab sare
tumhaari aankhon se bahar aa kar
taKHil ki be-karan faza mein
kisi sunahre hasin lamhe ko qaid kar len
kisi ki zulfon mein phul Tanke
kis ke honTon pe gungunaen
kisi ke shanon pe hath rakh den
kisi ke pahlu mein baiTh jaen
to kya karoge
to kya karoge jo KHwab sare
palaT ke mazi mein lauT jaen
har ek manzar har ek paikar
har ek kucha har ek Dagar par
junun-ba-daman tumhein nachaen
tumhaari wahshat ko aazmaen
kisi khanDar ki shikasta chaukhaT pe baiTh jaen
siyah taqon pe momi shamen
tumhaari yaadon mein jhilmilaen
koi hayula koi sarapa
tumhein pukare
tumhaari aankhon pe hath rakh de
gulab-Dali ka haar koi
tumhaare talwon mein gudgudae
laharya aanchal ka koi TukDa
hawa mein uDta hua sa aae
tumhaare ashkon se bhig jae
to kya karoge
to kya karoge jo KHwab sare
tumhaari aankhon se ashk ban kar
tumhaare daman pe phail jaen
lahu rulaen
to kya karoge jo KHwab sare
palaT ke mazi mein lauT jaen!
Nazm
Ye KHwab sare
Zia Faruqi