اردو हिंदी
Yaad | Shaahi Shayari
yaad

Nazm

Yaad

Zia Fatehabadi

;

wo naghme wo manazir wo bahaaren yaad hain mujh ko
yahi wo naqsh hain jo miT nahin sakte miTane se

wo raaten aur wo sawan ki phuwaren yaad hain mujh ko
yahi afsane aksar kahta rahta hun zamane se

wo tera muskura kar chand ko tabindagi dena
sharab-e-ishq se maKHmur ho jaana fazaon ka

wo teri mast aankhon ka nawed-e-zindagi dena
wo aksar khelna zulf-e-pareshan se hawaon ka

mera dil ho gaya hai gardish-e-ayyam se waqif
buland-o-past aalam phir rahe hain meri aankhon mein

mazaq-e-dil-bari hai ishq ke paigham se waqif
tasawwur hai mera khoya hua sa teri aankhon mein

tu mujh se dur hai lekin tujhe main yaad karta hun
na jab fariyaad karta tha na ab fariyaad karta hun