اردو हिंदी
Yaad rakhne ka hunar | Shaahi Shayari
yaad rakhne ka hunar

Nazm

Yaad rakhne ka hunar

Pirzada Qasim

;

suno
ye yaad rakhne ka hunar aasan nahin hota

mujhe tum yaad ho
aur meri har har sans mein bas kar

masham-e-jaan moattar kar rahi ho
Thik hai lekin

bhala wo kaun tha jis ne
tumhein pahle-pahal chaha

wo mera ishq tha main tha
wo shayad main hi tha

lekin nahin hai yaad ab kuchh bhi
suno

ye yaad rakhne ka hunar aasan nahin hota
kisi ko yaad rakhne mein

bahut kuchh bhul jaana hi to paDta hai