اردو हिंदी
Wo laDki | Shaahi Shayari
wo laDki

Nazm

Wo laDki

Nida Fazli

;

wo laDki yaad aati hai
jo honTon se nahin pure badan se baat karti thi

simaTte waqt bhi chaaron dishaon mein bikharti thi
wo laDki yaad aati hai

wo laDki ab na jaane kis ke bistar ki kiran hogi
abhi tak phul ki manind hogi ya chaman hogi

sajili raat
ab bhi

jab kabhi ghunghaT uThati hai
lachakti kahkashan jab bante bante TuT jati hai

koi albeli KHushbu baal khole muskuraati hai
wo laDki yaad aati hai