اردو हिंदी
Tum apni sabz aankhen band kar lo | Shaahi Shayari
tum apni sabz aankhen band kar lo

Nazm

Tum apni sabz aankhen band kar lo

Shahram Sarmadi

;

badalti rut
mere mathe pe jo likkhegi

wo sab jaanta hun main
ki main ne apne walid ki

jawani ki wo taswiren
bahut hi ghaur se dekhi hain

jin mein wo
kisi ki yaad ki parchhaiyon ko

apni aankhon mein chhupae
aasman ko tak rahe hain

ab wo aankhen meri aankhen hain
tum apni sabz aankhen band kar lo