اردو हिंदी
Surud-e-shabana | Shaahi Shayari
surud-e-shabana

Nazm

Surud-e-shabana

Faiz Ahmad Faiz

;

nim-shab chand KHud-faramoshi
mahfil-e-hast-o-bud viran hai

paikar-e-iltija hai KHamoshi
bazm-e-anjum fasurda-saman hai

aabshaar-e-sukut jari hai
chaar-su be-KHudi si tari hai

zindagi juzw-e-KHawab hai goya
sari duniya sarab hai goya

so rahi hai ghane daraKHton par!
chandni ki thaki hui aawaz

kahkashan nim-wa nigahon se
kah rahi hai hadis-e-shauq-e-niyaz

saz-e-dil ke KHamosh taron se
chhan raha hai KHumar-e-kaif-agin

aarzu KHwab tera ru-e-hasin