sal-ha-sal ye be-asra jakDe hue hath
raat ke saKHt o siyah sine main paiwast rahe
jis tarah tinka samundar se ho sargarm-e-satiz
jis tarah titari kohsar pe yalghaar kare
aur ab raat ke sangin o siyah sine mein
itne ghaw hain ki jis samt nazar jati hai
ja-ba-ja nur nai ek jal sa bun rakha hai
dur se subh ki dhaDkan ki sada aati hai
tera sarmaya teri aas yahi hath to hain
aur kuchh bhi to nahin pas yahi hath to hain
tujh ko manzur nahin ghalba-e-zulmat lekin
tujh ko manzur hai ye hath qalam ho jaen
aur mashriq ki kamin-gah mein dhaDakta hua din
raat ki aahani mayyat ke tale dab jae!
Nazm
Siyasi leader ke nam
Faiz Ahmad Faiz