اردو हिंदी
Sadma | Shaahi Shayari
sadma

Nazm

Sadma

Saqi Faruqi

;

wo sola bahaaron ke baad
dobara mila hai

to kya hai
ki muKHtar ko dekh kar

meri aankhon mein
hairat ke aasar paida hue

mera dil bujh gaya hai
wo ayyar

yaron ka yar
apna lahja isi tarah se narm-rez

aur nazar tez rakkhe
magar

us se kis ne kaha tha
ki KHushbu, sharab aur aurat se

parhez rakkhe