andheri raat hawa tez barshgal ka shor
karun to kaise karun shama ki nigahbani
in aandhiyon mein kaf-e-dast ka sahaara kya
kahan chale gae tum saunp kar ye daulat-e-nur
meri hayat to jugnu ki raushni mein kaTi
na aaftab se nisbat na mahtab rafiq
janam janam ki siyahi baras baras ki ye raat
qadam qadam ka andhera nafas nafas ki ye raat
tumhaari nikhat-e-barbaad ko tarasti hai
ab aao aa ke amanat sambhaal lo apni
tamam umar ka ye ratjaga tamam hua
main thak gaya hun mujhe nind aai jati hai
Nazm
Ratjaga
Shaz Tamkanat

