dur shadab pahaDi pe bana ek bangla
lal khaprailon pe phaili hui angur ki bel
sehn mein bikhre hue miTTi ke raja-rani
munh chiDati hui bachchon ko koi diwani
seb ke ujle daraKHton ki ghani chhanw mein
panw Dale hue talab mein koi laDki
gore hathon mein sambhaale hue takiye ka ghilaf
an-kahi baaton ko dhagon mein siye jati hai
dil ke jazbaat ka izhaar kiye jati hai
garm chulhe ke qarin baiThi hui ek aurat
ek paiwand lagi saDi se tan ko Dhanpe
dhundli aankhon se meri samt take jati hai
mujh ko aawaz pe aawaz diye jati hai
ek sulagti hui cigarette ka bal khata dhuan
phailta jata hai har samt mere kamre mein
Nazm
Pighalta dhuan
Nida Fazli