kisi parinde ki raat peD par faDfaDati hai
raat peD aur parinda
andhere ke ye tinon rahi
ek sidh mein aa khaDe hote hain
raat andhere mein phans jati hai
raat tu ne meri chhanw kya ki
jangal chhoTa hai
is liye tumhein gahri lag rahi hun
gahra to main parinde ke so jaane se hua tha
main roz parinde ko dilasa dene ke baad
apni kaman ki taraf lauT jati hun
teri kaman kya subh hai
main jab mari to mera nam raat rakh diya gaya
ab mera nam fasla hai
tera dusra janm kab hoga
jab ye parinda bedar hoga
parinde ka chahchahana hi mera janm-din hai
fasla aur peD hath milate hain
aur parinde ki aankh khul jati hai
Nazm
Parinde ki aankh khul jati hai
Sara Shagufta

