اردو हिंदी
Parinde ki aankh khul jati hai | Shaahi Shayari
parinde ki aankh khul jati hai

Nazm

Parinde ki aankh khul jati hai

Sara Shagufta

;

kisi parinde ki raat peD par faDfaDati hai
raat peD aur parinda

andhere ke ye tinon rahi
ek sidh mein aa khaDe hote hain

raat andhere mein phans jati hai
raat tu ne meri chhanw kya ki

jangal chhoTa hai
is liye tumhein gahri lag rahi hun

gahra to main parinde ke so jaane se hua tha
main roz parinde ko dilasa dene ke baad

apni kaman ki taraf lauT jati hun
teri kaman kya subh hai

main jab mari to mera nam raat rakh diya gaya
ab mera nam fasla hai

tera dusra janm kab hoga
jab ye parinda bedar hoga

parinde ka chahchahana hi mera janm-din hai
fasla aur peD hath milate hain

aur parinde ki aankh khul jati hai