1
ye sham ek aaina-e-nil-gun ye nam ye mahak
ye manzaron ki jhalak khet bagh dariya ganw
wo kuchh sulagte hue kuchh sulagne wale alaw
siyahiyon ka dabe-panw aasman se nuzul
laTon ko khol de jis tarah sham ki dewi
purane waqt ke bargad ki ye udas jaTaen
qarib o dur ye go dhul ki ubharti ghaTaen
ye kaenat ka Thahrao ye athah sukut
ye nim-tirah faza roz-e-garm ka tabut
dhuan dhuan si zamin hai ghula ghula sa falak
2
ye chandni ye hawaen ye shaKH-e-gul ki lachak
ye daur-e-baada ye saz-e-KHamosh fitrat ke
sunai dene lagi jagmagate sinon mein
dilon ke nazuk o shaffaf aabginon mein
tere KHayal ki paDti hui kiran ki khanak
3
ye raat chhanti hawaon ki sondhi sondhi mahak
ye khet karti hui chandni ki narm damak
sugandh raat ki rani ki jab machalti hai
faza mein ruh-e-tarab karwaTen badalti hai
ye rup sar se qadam tak hasin jaise gunah
ye aarizon ki damak ye fusun-e-chashm-e-siyah
ye dhaj na de jo ajanta ki sanaton ko panah
ye sina paD hi gai dew lok ki bhi nigah
ye sar-zamin se aakash ki parastish-gah
utarte hain teri aarti sitara o mah
sajal badan ki bayan kis tarah ho kaifiyyat
saraswati ke bajate hue sitar ki gat
jamal-e-yar tere gulsitan ki rah rah ke
jabin-e-naz teri kahkashan ki rah rah ke
dilon mein aaina-dar-aina suhani jhalak
4
ye chhab ye rup ye joban ye saj ye dhaj ye lahak
chamakte taron ki kirnon ki narm narm phuwar
ye rasmasate badan ka uThan aur ye ubhaar
faza ke aaina mein jaise lahlahae bahaar
ye be-qarar ye be-iKHtiyar josh-e-numud
ki jaise nur ka fawwara ho shafaq-alud
ye jalwe paikar-e-shab-tab ke ye bazm-e-shohud
ye mastiyan ki mai-e-saf-o-durd sab be-bud
KHajil ho lal-e-yaman uzw uzw ki wo Dalak
5
bas ek sitara-e-shingaraf ki jabin pe jhamak
wo chaal jis se labaalab gulabiyan chhalken
sakun-numa KHam-e-abru ye adh-khulin palken
har ek nigah se aiman ki bijliyan lapken
ye aankh jis mein kai aasman dikhai paDen
uDa den hosh wo kanon ki sada sada lawen
ghaTaen wajd mein aaen ye gesuon ki laTak
6
ye kaif-o-rang-e-nazara ye bijliyon ki lapak
ki jaise krishn se radha ki aankh ishaare kare
wo shoKH ishaare ki rabbaniyat bhi jae jhapak
jamal sar se qadam tak tamam shoala hai
sukun jumbish o ram tak tamam shoala hai
magar wo shoala ki aankhon mein Dal de ThanDak
7
ye raat nind mein Dube hue se hain dipak
faza mein bujh gae uD uD ke jugnuon ke sharar
kuchh aur taron ki aankhon ka baDh chala hai KHumar
fasurda chhiTki hui chandni ka dhundla ghubar
ye bhigi bhigi udahaT ye bhiga bhiga nur
ki jaise chashma-e-zulmat mein jale kafur
ye Dhalti raat sitaron ke qalb ka ye gudaz
KHunuk faza mein tera shabnami tabassum-e-naz
jhalak jamal ki tabir KHwab aaina-saz
jahan se jism ko dekhen tamam naz-o-niyaz
jahan nigah Thahar jae raaz-andar-raaz
sukut-e-nim-shabi lahlahe badan ka nikhaar
ki jaise nind ki wadi mein jagta sansar
hai bazm-e-mah ki parchhaiyon ki basti hai
faza ki oT se wo KHamushi barasti hai
ki bund bund se paida ho gosh o dil mein khanak
8
kisi KHayal mein hai gharq chandni ki chamak
hawaen nind ke kheton se jaise aati hon
hayat o maut mein sargoshiyan si hoti hain
karoDon sal ke jage sitare nam-dida
siyah gesuon ke sanp nim-KHwabida
ye pichhli raat ye rag rag mein narm narm kasak
Nazm
Parchhaiyan
Firaq Gorakhpuri