main wo shajar tha
ki mere sae mein baiThne aur shaKHon pe jhulne ki hazaron jismon ko aarzu thi
zamin ki aankhen daraazi-e-umar ki duaon mein ro rahi thin
aur suraj ke hath thakte nahin the mujh ko sanwarne mein
ki main ek aawaz ka safar tha
ajab shajar tha
ki us musafir ka muntazir tha
jo mere sae mein aa ke baiThe to phir na uTThe
jo meri shaKHon pe aae jhule to sare mausam yahin guzare
magar wo pagal hawa ka jhonka magar wo pagal hawa ka jhonka
ajab musafir tha rahguzar ka
jo chhoD aaya tha kitni shaKHen
magar laga yun ki jaise ab wo shikasta-tar hai
wo mere KHwabon ka ham-safar hai
so main ne sae bichha diye the
tamam jhule hila diye the
magar wo pagal hawa ka jhonka magar wo pagal hawa ka jhonka
ajab musafir tha rahguzar tha
ki lamhe bhar mein guzar chuka tha
main be-numu aur be-samar tha
magar main aawaz ka safar tha
so meri aawaz ka ajar tha
ajab shajar tha
ajab shajar hun
ki aane wale sah kah raha hun
ai mere dil mein utarne wale
ai mujh ko shadab karne wale
tujhe meri raushni mubarak
tujhe meri zindagi mubarak
Nazm
Numu
Obaidullah Aleem