اردو हिंदी
Nazr-e-dil | Shaahi Shayari
nazr-e-dil

Nazm

Nazr-e-dil

Asrar-ul-Haq Majaz

;

apne dil ko donon aalam se uTha sakta hun main
kya samajhti ho ki tum ko bhi bhula sakta hun main

kaun tum se chhin sakta hai mujhe kya wahm hai
KHud zuleKHa se bhi to daman bacha sakta hun main

dil mein tum paida karo pahle meri si juraten
aur phir dekho ki tum ko kya bana sakta hun main

dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko
aur tum chaho to afsana bana sakta hun mein

mein qasam khata hun apne nutq ke eajaz ki
tum ko bazm-e-mah-o-anjum mein biTha sakta hun main

sar pe rakh sakta hun taj-e-kishwar-e-nuraniyan
mahfil-e-KHurshid ko nicha dikha sakta hun main

main bahut sarkash hun lekin ek tumhaare waste
dil bujha sakta hun main aankhen bacha sakta hun main

tum agar ruTho to ek tum ko manane ke liye
git ga sakta hun main aansu baha sakta hun main

jazb hai dil mein mere donon jahan ka soz-o-saz
barbat-e-fitrat ka har naghma suna sakta hun main

tum samajhti ho ki hain parde bahut se darmiyan
main ye kahta hun ki har parda uTha sakta hun main

tum ki ban sakti ho har mahfil mein firdaus-e-nazar
mujh ko ye dawa ki har mahfil pe chha sakta hun main

aao mil kar inqalab-e-taza-tar paida karen
dahr par is tarah chha jaen ki sab dekha karen