us ko
tariKH se aazadi di gai thi
wo itna chali
ki us ka
koi bhi naKHun nahin bacha
bina naKHun ki ungliyan
bhaddi hi nahin be-kar ho jati hain
phir wo bahne lagi
aur bahti rahi
apni anant dhaara mein
tariKH bahaw ki KHub-surati kya samajhti
bandh bandhe
bina ye soche
ki saDandh paida ho jaane par
dam ghuT sakta hai
tariKH ki
maut waqe ho sakti hai
Nazm
Nazm
Shabnam Ashai

