phul pani par khila meri maujudgi ka
saltanat subh-e-bahaaran ki
bahut nazdik se aawaz deti hai
subuk-raftar
paiham ghumte pahiye
giran-KHwabi se jage
aaftabi pairahan ka gher diwaron ko chhuta
pyar karta
raqs farmata
are!!!
suraj nikal aaya
Nazm
Nazm
Sarvat Husain

