اردو हिंदी
Naya ufaq | Shaahi Shayari
naya ufaq

Nazm

Naya ufaq

Shahryar

;

kya tum ko ye pata hai
ai na-samajh rafiqo

roz-e-azal se jis par
tum gamzan rahe ho

wo rasta KHala ki
sarhad se ja mila hai

mashal jalao dekho
biphri hui hawa mein

aaina-e-sada mein
chehra kisi ufuq ka

phir se ubhar raha hai