اردو हिंदी
Minupaz | Shaahi Shayari
minupaz

Nazm

Minupaz

Shahnaz Nabi

;

ubal ubal kar
dudh ke sare tal-talaiyan

sukh gae humak humak kar
kundan si lori ke bol bhi ruTh gae

pengen lete lete
KHali banhen

thak kar jhul gain
kajloTi mein sara kajal jaane kab ka pighal gaya

kis mele mein DhunDun us ko
mila nahin aur bichhaD gaya