اردو हिंदी
Mere milne wale | Shaahi Shayari
mere milne wale

Nazm

Mere milne wale

Faiz Ahmad Faiz

;

wo dar khula mere gham-kade ka
wo aa gae mere milne wale

wo aa gai sham apni rahon mein
farsh-e-afsurdagi bichhane

wo aa gai raat chand taron ko
apni aazurdagi sunane

wo subh aai damakte nashtar se
yaad ke zaKHm ko manane

wo dopahar aai, aastin mein
chhupae shoalon ke taziyane

ye aae sab mere milne wale
ki jin se din raat wasta hai

pe kaun kab aaya, kab gaya hai
nigah o dil ko KHabar kahan hai

KHayal su-e-watan rawan hai
samundaron ki ayal thame

hazar wahm-o-guman sambhaale
kai tarah ke sawal thame